wahi hon pyar ki raaten wahi hon pyar ke din
vahī hoñ pyaar kī rāteñ vahī hoñ pyaar ke din
mire nasīb se palTeñ jo phir bahār ke din
ye ham se pūchho ki kaise guzārte haiñ ġharīb
firāq-e-yār kī rāteñ talāsh-e-yār ke din
ġhurūr-o-nāz kī rāteñ unheñ mubārak hoñ
phireñge kyā na kabhī mere inkisār ke din
tasavvur-e-shab-e-vā'da 'ajab qayāmat hai
ye maanā saḳht guzarte haiñ intizār ke din
ḳhizāñ-nasīboñ pe yuuñ hañs rahe haiñ ahl-e-tarab
chaman meñ jaise na ā.eñge phir bahār ke din
tabāhiyoñ pe mirī muskurā na ai zālim
na rah sakeñge hamesha tire vaqār ke din
ye maanā aaj jafā-jū ko naaz hai 'ishrat'
kabhī to ā.eñge mere bhī iḳhtiyār ke din
wahi hon pyar ki raaten wahi hon pyar ke din
mere nasib se palTen jo phir bahaar ke din
ye hum se puchho ki kaise guzarte hain gharib
firaq-e-yar ki raaten talash-e-yar ke din
ghurur-o-naz ki raaten unhen mubarak hon
phirenge kya na kabhi mere inkisar ke din
tasawwur-e-shab-e-wa'da 'ajab qayamat hai
ye mana saKHt guzarte hain intizar ke din
KHizan-nasibon pe yun hans rahe hain ahl-e-tarab
chaman mein jaise na aaenge phir bahaar ke din
tabahiyon pe meri muskura na ai zalim
na rah sakenge hamesha tere waqar ke din
ye mana aaj jafa-ju ko naz hai 'ishrat'
kabhi to aaenge mere bhi iKHtiyar ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.