wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai
vahī hotā hai jo mahbūb ko manzūr hotā hai
mohabbat karne vaalā har tarah majbūr hotā hai
jahāñ jaate haiñ ham us kī galī se ho ke jaate haiñ
agarche rāsta is rāste se duur hotā hai
nahīñ rukte ghaḌī-bhar tālib-e-dīdār ke aañsū
ye zālim shauq goyā aañkh kā nāsūr hotā hai
koī majnūñ kī izzat ishq kī sarkār meñ dekhe
baḌī ḳhidmat pe aisā aadmī māmūr hotā hai
hasīnoñ kā tanazzul bhī nahīñ hai shaan se ḳhālī
buḌhāpe meñ bhī un logoñ ke muñh pe nuur hotā hai
vo aisī ḳhanda-peshānī se har mārūza sunte haiñ
ye samjhe arz karne vaalā ab manzūr hotā hai
tujhe mash.hūr honā ho to āshiq kī burā.ī kar
burā.ī se bahut jald aadmī mash.hūr hotā hai
hamāre ghar vo aa kar thak ga.e haañ kyuuñ na thak jaate
nayā rasta jo ho nazdīk bhī to duur hotā hai
jo tum vābastā-e-dāman ko samjhe dāġh-e-bad-nāmī
to ab kyā duur kar sakte ho ab ye duur hotā hai
baḌā ehsān hogā mere dil kā ḳhuun kar Daalo
yahī majbūr kartā hai yahī majbūr hotā hai
mujhe tum jānte ho aql se ma.azūr haañ be-shak
mohabbat karne vaalā aql se ma.azūr hotā hai
hasīn har ek ho saktā nahīñ be-shak safī' be-shak
vahī hotā hai jo allāh ko manzūr hotā hai
wahi hota hai jo mahbub ko manzur hota hai
mohabbat karne wala har tarah majbur hota hai
jahan jate hain hum us ki gali se ho ke jate hain
agarche rasta is raste se dur hota hai
nahin rukte ghaDi-bhar talib-e-didar ke aansu
ye zalim shauq goya aankh ka nasur hota hai
koi majnun ki izzat ishq ki sarkar mein dekhe
baDi KHidmat pe aisa aadmi mamur hota hai
hasinon ka tanazzul bhi nahin hai shan se KHali
buDhape mein bhi un logon ke munh pe nur hota hai
wo aisi KHanda-peshani se har maruza sunte hain
ye samjhe arz karne wala ab manzur hota hai
tujhe mashhur hona ho to aashiq ki burai kar
burai se bahut jald aadmi mashhur hota hai
hamare ghar wo aa kar thak gae han kyun na thak jate
naya rasta jo ho nazdik bhi to dur hota hai
jo tum wabasta-e-daman ko samjhe dagh-e-bad-nami
to ab kya dur kar sakte ho ab ye dur hota hai
baDa ehsan hoga mere dil ka KHun kar Dalo
yahi majbur karta hai yahi majbur hota hai
mujhe tum jaante ho aql se mazur han be-shak
mohabbat karne wala aql se mazur hota hai
hasin har ek ho sakta nahin be-shak safi' be-shak
wahi hota hai jo allah ko manzur hota hai
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 275)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.