wahi ijz-e-bandagi hai wahi naz-e-astana
vahī ijz-e-bandagī hai vahī nāz-e-āstāna
maiñ yaqīn kaise kar luuñ ki badal gayā zamāna
ye hamārā haq hai logo ye hamārī zid nahīñ hai
jo ye gulsitāñ rahegā to rahegā āshiyāna
ye bahār kā hai mausam magar is ko kyā kaheñ ham
abhī andalīb-e-gulshan kī navā hai bāġhiyāna
mirī azmat-e-vafā se bhī vo mutma.in nahīñ haiñ
vahī jis ke jaur-e-paiham kā hai mo'tarif zamāna
mujhe tajrabāt-e-ġham ne ye adā sikhā.ī 'jauhar'
na kisī se dushmanī hai na kisī se dostāna
wahi ijz-e-bandagi hai wahi naz-e-astana
main yaqin kaise kar lun ki badal gaya zamana
ye hamara haq hai logo ye hamari zid nahin hai
jo ye gulsitan rahega to rahega aashiyana
ye bahaar ka hai mausam magar is ko kya kahen hum
abhi andalib-e-gulshan ki nawa hai baghiyana
meri azmat-e-wafa se bhi wo mutmain nahin hain
wahi jis ke jaur-e-paiham ka hai mo'tarif zamana
mujhe tajrabaat-e-gham ne ye ada sikhai 'jauhar'
na kisi se dushmani hai na kisi se dostana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.