wahi izzat wahi zillat wahi tauqir deta hai
vahī 'izzat vahī zillat vahī tauqīr detā hai
usī se māñgiye sāhab vahī tash.hīr detā hai
shu’ūr-o-āgahī bālīdgī detā hai zehnoñ ko
zamāne meñ qalam ko quvvat-e-tahrīr detā hai
vahī ḳhāliq vahī mālik vahī qādir hai duniyā par
tamāzat shams ko jo chāñd ko tanvīr detā hai
vahī bīmār kartā hai jahān-e-zīst meñ sab ko
mu'ālij kī davāoñ meñ vahī tāsīr detā hai
bahut pahle vahī taqdīr likhtā hai ham insāñ kī
phir us ke baa'd ham ko nusḳha-e-tadbīr detā hai
wahi 'izzat wahi zillat wahi tauqir deta hai
usi se mangiye sahab wahi tashhir deta hai
shu’ur-o-agahi baalidgi deta hai zehnon ko
zamane mein qalam ko quwwat-e-tahrir deta hai
wahi KHaliq wahi malik wahi qadir hai duniya par
tamazat shams ko jo chand ko tanwir deta hai
wahi bimar karta hai jahan-e-zist mein sab ko
mu'alij ki dawaon mein wahi tasir deta hai
bahut pahle wahi taqdir likhta hai hum insan ki
phir us ke ba'd hum ko nusKHa-e-tadbir deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.