wahi jo manzil-e-shams-o-qamar mein rahta hai
vahī jo manzil-e-shams-o-qamar meñ rahtā hai
vo husn ban ke hamārī nazar meñ rahtā hai
nazar ko apnī chhupā.e hue huuñ maiñ sab se
ki ek parda-nashīñ is nazar meñ rahtā hai
tumhārī diid kā armāñ jo ghaT gayā dil meñ
vo ban ke naala talāsh-e-asar meñ rahtā hai
asīr-e-zulf-e-parīshāñ huuñ is liye ai dost
mirā ḳhayāl hamesha safar meñ rahtā hai
qafas kī zindagī-e-be-maza ko kab hāsil
jo lutf yūrish-e-barq-o-sharar meñ rahtā hai
jidhar nigāh uThā.ūñ usī kā aks ubhre
usī kā jalva 'jamālī' nazar meñ rahtā hai
wahi jo manzil-e-shams-o-qamar mein rahta hai
wo husn ban ke hamari nazar mein rahta hai
nazar ko apni chhupae hue hun main sab se
ki ek parda-nashin is nazar mein rahta hai
tumhaari did ka arman jo ghaT gaya dil mein
wo ban ke nala talash-e-asar mein rahta hai
asir-e-zulf-e-parishan hun is liye ai dost
mera KHayal hamesha safar mein rahta hai
qafas ki zindagi-e-be-maza ko kab hasil
jo lutf yurish-e-barq-o-sharar mein rahta hai
jidhar nigah uThaun usi ka aks ubhre
usi ka jalwa 'jamali' nazar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.