wahi jo the sang-e-mil kal tak wo jauhaDon mein paDe hue hain
wahi jo the sang-e-mil kal tak wo jauhaDon mein paDe hue hain
Lutfullah Khan Nazmi
MORE BYLutfullah Khan Nazmi
vahī jo the sang-e-mīl kal tak vo jauhaḌoñ meñ paḌe hue haiñ
jo be-nishāñ the qadam qadam par nishān un ke gaḌe hue haiñ
na sirf phal balki phūl-patte bhī khā ga.e bhūke chiil kavve
kabhī jo sarsabz-o-bār-āvar the naḳhl nange khaḌe hue haiñ
gul-e-sadāqat kī un ko ḳhushbū pasand aa.ī na aa sakegī
ġhurūr-o-pindār kī ḳhudī se dimāġh un ke saḌe hue haiñ
avaam haiñ laakh Dhor Dañgar kabhī to in ko bhī ghaas Dāleñ
inhīñ haqīroñ kī azmatoñ se huzūr itne baḌe hue haiñ
muhāfizoñ kā agar chale bas to arz-e-pāk aaj bech Dāleñ
magar kareñ kyā ki ham se ġhaddār darmiyāñ meñ aḌe hue haiñ
wahi jo the sang-e-mil kal tak wo jauhaDon mein paDe hue hain
jo be-nishan the qadam qadam par nishan un ke gaDe hue hain
na sirf phal balki phul-patte bhi kha gae bhuke chil kawwe
kabhi jo sarsabz-o-bar-awar the naKHl nange khaDe hue hain
gul-e-sadaqat ki un ko KHushbu pasand aai na aa sakegi
ghurur-o-pindar ki KHudi se dimagh un ke saDe hue hain
awam hain lakh Dhor Dangar kabhi to in ko bhi ghas Dalen
inhin haqiron ki azmaton se huzur itne baDe hue hain
muhafizon ka agar chale bas to arz-e-pak aaj bech Dalen
magar karen kya ki hum se ghaddar darmiyan mein aDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.