wahi KHushbu kabhi gulshan se kabhi ban se nikal
vahī ḳhushbū kabhī gulshan se kabhī ban se nikāl
vahī ātish kabhī gul se kabhī aahan se nikāl
aañkh ko vus.at-e-sahrā kā tamāshā.ī kar
nigah-e-murda-o-afsurda ko rauzan se nikāl
kar kuchh aisā ki tirī ḳhaak meñ parvāz aa.e
ab koī asp-e-falak-e-sair isī tausan se nikāl
mujh se marmar kā vo tarshā huā but kahtā thā
fan mirī raah kā patthar hai mujhe fan se nikāl
qurb-e-manzil kī bashārat hai bahut duur kī baat
rāhbar pahle hameñ panja-e-rahzan se nikāl
terī pahchān na ban jaa.e mire ḳhuun kā daaġh
ye koī phuul nahīñ hai ise dāman se nikāl
ik nigah kar ki kisī rañg pe Thahre ye hayāt
aañkh uThā aur shab-o-roz kī uljhan se nikāl
wahi KHushbu kabhi gulshan se kabhi ban se nikal
wahi aatish kabhi gul se kabhi aahan se nikal
aankh ko wusat-e-sahra ka tamashai kar
nigah-e-murda-o-afsurda ko rauzan se nikal
kar kuchh aisa ki teri KHak mein parwaz aae
ab koi asp-e-falak-e-sair isi tausan se nikal
mujh se marmar ka wo tarsha hua but kahta tha
fan meri rah ka patthar hai mujhe fan se nikal
qurb-e-manzil ki bashaarat hai bahut dur ki baat
rahbar pahle hamein panja-e-rahzan se nikal
teri pahchan na ban jae mere KHun ka dagh
ye koi phul nahin hai ise daman se nikal
ek nigah kar ki kisi rang pe Thahre ye hayat
aankh uTha aur shab-o-roz ki uljhan se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.