wahi kuchh zindagi mein zindagi ka bhed pate hain
vahī kuchh zindagī meñ zindagī kā bhed paate haiñ
jo paiham justujū karte haiñ barsoñ ġham uThāte haiñ
jo sach pūchho to ḳhud jiite haiñ aur jiinā sikhāte haiñ
vo dīvāne jo har tūfān-e-ġham meñ muskurāte haiñ
kuchh is andāz se vo apnī mahfil meñ bulāte haiñ
ki insāñ ke qadam uThne se pahle kaañp jaate haiñ
vo pichhlī shab ko apne ruḳh se jab pardā uThāte haiñ
mirā ehsās shāhid hai do-ālam jhuum jaate haiñ
ta.ajjub kyoñ hai merī be-ḳhudī par ahl-e-mahshar ko
vo jis ko bhī pilāte haiñ kuchh aisī hī pilāte haiñ
nahīñ kuchh ḳhāk-e-dil lekin pahuñch kar un ke dāman tak
yahī zarre mah-o-ḳhurshīd ban kar jagmagāte haiñ
mohabbat ibtidā tā-intihā irfān-e-kāmil hai
magar ham to unheñ paane se pahle kho.e jaate haiñ
tirā kūcha hī kyoñ rah rah ke paiham yaad aatā hai
isī aalam meñ aalam aur bhī to paa.e jaate haiñ
shikāyat kar rahe ho 'kaif' tum ko shukr lāzim hai
vo mushkil se kisī ko apnā dīvāna banāte haiñ
wahi kuchh zindagi mein zindagi ka bhed pate hain
jo paiham justuju karte hain barson gham uThate hain
jo sach puchho to KHud jite hain aur jina sikhate hain
wo diwane jo har tufan-e-gham mein muskuraate hain
kuchh is andaz se wo apni mahfil mein bulate hain
ki insan ke qadam uThne se pahle kanp jate hain
wo pichhli shab ko apne ruKH se jab parda uThate hain
mera ehsas shahid hai do-alam jhum jate hain
tajjub kyon hai meri be-KHudi par ahl-e-mahshar ko
wo jis ko bhi pilate hain kuchh aisi hi pilate hain
nahin kuchh KHak-e-dil lekin pahunch kar un ke daman tak
yahi zarre mah-o-KHurshid ban kar jagmagate hain
mohabbat ibtida ta-intiha irfan-e-kaamil hai
magar hum to unhen pane se pahle khoe jate hain
tera kucha hi kyon rah rah ke paiham yaad aata hai
isi aalam mein aalam aur bhi to pae jate hain
shikayat kar rahe ho 'kaif' tum ko shukr lazim hai
wo mushkil se kisi ko apna diwana banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.