wahi main hun wahi hangama-e-gham tum nahin aae
vahī maiñ huuñ vahī hangāma-e-ġham tum nahīñ aa.e
gavāhī de rahe haiñ ashk-e-shabnam tum nahīñ aa.e
hai mere vāste har aañkh pur-nam tum nahīñ aa.e
zamāna kar rahā hai merā mātam tum nahīñ aa.e
pata detī rahī hichkī tumhārī āmad-āmad kā
magar jab tak nahīñ niklā mirā dam tum nahīñ aa.e
shab-e-furqat tulū'-e-sub.h ke lamhe bhī aa pahuñche
sitāroñ kī chamak bhī ho ga.ī kam tum nahīñ aa.e
'amīr'-e-dehlavī ne jaan de dī hijr ke maare
magar ai mere mūnis mere hamdam tum nahīñ aa.e
wahi main hun wahi hangama-e-gham tum nahin aae
gawahi de rahe hain ashk-e-shabnam tum nahin aae
hai mere waste har aankh pur-nam tum nahin aae
zamana kar raha hai mera matam tum nahin aae
pata deti rahi hichki tumhaari aamad-amad ka
magar jab tak nahin nikla mera dam tum nahin aae
shab-e-furqat tulu'-e-subh ke lamhe bhi aa pahunche
sitaron ki chamak bhi ho gai kam tum nahin aae
'amir'-e-dehlawi ne jaan de di hijr ke mare
magar ai mere munis mere hamdam tum nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.