wahi manazir wahi musafir wahi sada ka jada tha
vahī manāzir vahī musāfir vahī sadā kā jaada thā
jab uftād paḌī thī mujh se maiñ hī duur uftāda thā
ek ummīd-o-bīm ke aalam meñ bastī dam sādhe thī
aur havā ke tevar the paanī kā aur irāda thā
sūraj bhī pahne the maiñ ne aur taare bhī oḌhe the
din meñ aur mirā pairāhan shab meñ aur labāda thā
us ne mujh ko dariyā kar Daalā ye us kī azmat hai
maiñ to qatre kī sūrat bhī rahne par āmāda thā
gaThḌī sar se kyā utrī maiñ apnī chaal hī bhuul gayā
tan kar chaltā thā maiñ jab tak sar par bojh ziyāda thā
par ik roz mirā beTā merī masnad par aa baiThā
jab tak merī maañ zinda thī maiñ ghar meñ shahzāda thā
ab 'saifī' kī bātoñ meñ vo pahle jaisī baat kahāñ
shahr meñ aane se pahle ye shaḳhs nihāyat saada thā
wahi manazir wahi musafir wahi sada ka jada tha
jab uftad paDi thi mujh se main hi dur uftada tha
ek ummid-o-bim ke aalam mein basti dam sadhe thi
aur hawa ke tewar the pani ka aur irada tha
suraj bhi pahne the main ne aur tare bhi oDhe the
din mein aur mera pairahan shab mein aur labaada tha
us ne mujh ko dariya kar Dala ye us ki azmat hai
main to qatre ki surat bhi rahne par aamada tha
gaThDi sar se kya utri main apni chaal hi bhul gaya
tan kar chalta tha main jab tak sar par bojh ziyaada tha
par ek roz mera beTa meri masnad par aa baiTha
jab tak meri man zinda thi main ghar mein shahzada tha
ab 'saifi' ki baaton mein wo pahle jaisi baat kahan
shahr mein aane se pahle ye shaKHs nihayat sada tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.