wahi meri na-muradi wahi gardish-e-zamana
vahī merī nā-murādī vahī gardish-e-zamāna
mirī zindagī tasavvur mirī ishrateñ fasāna
na huzūriyoñ kī ḳhvāhish na visāl kī tamanna
mujhe ab bhī hai ta.āruf vahī un se ġhā.ebāna
jo tujhe ḳhayāl hotā ye mirā na haal hotā
na tirī nigāh badlī na badal sakā zamāna
ye jahāñ kī ek karvaT ye ḳhizāñ kā ek dhokā
ye havā.eñ bhīgī bhīgī ye bahār kā tarāna
koī ḳhvāb thā ye shāyad jo nazar meñ phir rahā hai
vo mirī niyāz-mandī vo kisī kā āstāna
na tirā surāġh paayā na sukūñ kā raaz paayā
mirī zindagī thī goyā ġham-e-dil kā ik bahāna
mirī ārzū-e-rusvā na chhupegī 'hosh' mujh se
ki mirī nigāh meñ hai mire dard kā fasāna
wahi meri na-muradi wahi gardish-e-zamana
meri zindagi tasawwur meri ishraten fasana
na huzuriyon ki KHwahish na visal ki tamanna
mujhe ab bhi hai taaruf wahi un se ghaebana
jo tujhe KHayal hota ye mera na haal hota
na teri nigah badli na badal saka zamana
ye jahan ki ek karwaT ye KHizan ka ek dhoka
ye hawaen bhigi bhigi ye bahaar ka tarana
koi KHwab tha ye shayad jo nazar mein phir raha hai
wo meri niyaz-mandi wo kisi ka aastana
na tera suragh paya na sukun ka raaz paya
meri zindagi thi goya gham-e-dil ka ek bahana
meri aarzu-e-ruswa na chhupegi 'hosh' mujh se
ki meri nigah mein hai mere dard ka fasana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.