wahi nibah ke kanTe wahi gulab ke phul
vahī nibāh ke kāñTe vahī gulāb ke phuul
mere nasīb meñ kab aa.e mere ḳhvāb ke phuul
sukūn-e-zabt pe Thahrā vo dard kā mausam
junūñ ke rang meñ khilte rahe azaab ke phuul
tilism kaisā bañdhā hai havā-e-sahrā se
mahak rahe haiñ merī zaat meñ sarāb ke phuul
ba-shakl-e-but milī sahrā meñ devī patjhaḌ kī
ye sochtā huuñ chaḌhā.ūñ use maiñ aab ke phuul
nahīñ hai koī tavāzun vafā-o-husn ke beach
na ab vo hijr na sūkhe hue kitāb ke phuul
mahak rahī hai mere sahan kī na.ī miTTī
baras rahe haiñ baḌī der se sahāb ke phuul
wahi nibah ke kanTe wahi gulab ke phul
mere nasib mein kab aae mere KHwab ke phul
sukun-e-zabt pe Thahra wo dard ka mausam
junun ke rang mein khilte rahe azab ke phul
tilism kaisa bandha hai hawa-e-sahra se
mahak rahe hain meri zat mein sarab ke phul
ba-shakl-e-but mili sahra mein dewi patjhaD ki
ye sochta hun chaDhaun use main aab ke phul
nahin hai koi tawazun wafa-o-husn ke beach
na ab wo hijr na sukhe hue kitab ke phul
mahak rahi hai mere sahan ki nai miTTi
baras rahe hain baDi der se sahab ke phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.