wahi raat bhar tujhe sochna wahi chahaton ke nisab hain
wahi raat bhar tujhe sochna wahi chahaton ke nisab hain
Azhar Kamal Khan
MORE BYAzhar Kamal Khan
vahī raat bhar tujhe sochnā vahī chāhatoñ ke nisāb haiñ
ye baḌe tavīl haiñ silsile ye baḌe tavīl azaab haiñ
hameñ roz miltī haiñ sāzisheñ yahāñ dostī ke libās meñ
yahāñ har qadam pe fareb haiñ yahāñ har qadam pe sarāb haiñ
ye karam hai rabb-e-karīm kā mujhe itne rang atā kiye
jo miTā rahe the nishāñ mirā na savāl haiñ na javāb haiñ
jo samundaroñ meñ sukūt hai use dekh kar na fareb khā
ka.ī ashk haiñ jo bahe nahīñ ka.ī zalzale tah-e-āb haiñ
ka.ī chāñdnī meñ guñdhe hue ka.ī titliyoñ meñ ghire hue
vo jo phuul the tirī raah ke vahī aaj mujh pe azaab haiñ
vo jo log the yahāñ ret se unheñ kyā huā vo kahāñ ga.e
yahāñ pattharoñ sī hai be-hisī yahāñ pattharoñ se gulāb haiñ
hameñ bhuuk apnī qubūl hai yahāñ nafrateñ nahīñ bechnā
mire gaañv meñ baḌā amn hai mirī aañkh meñ baḌe ḳhvāb haiñ
wahi raat bhar tujhe sochna wahi chahaton ke nisab hain
ye baDe tawil hain silsile ye baDe tawil azab hain
hamein roz milti hain sazishen yahan dosti ke libas mein
yahan har qadam pe fareb hain yahan har qadam pe sarab hain
ye karam hai rabb-e-karim ka mujhe itne rang ata kiye
jo miTa rahe the nishan mera na sawal hain na jawab hain
jo samundaron mein sukut hai use dekh kar na fareb kha
kai ashk hain jo bahe nahin kai zalzale tah-e-ab hain
kai chandni mein gundhe hue kai titliyon mein ghire hue
wo jo phul the teri rah ke wahi aaj mujh pe azab hain
wo jo log the yahan ret se unhen kya hua wo kahan gae
yahan pattharon si hai be-hisi yahan pattharon se gulab hain
hamein bhuk apni qubul hai yahan nafraten nahin bechna
mere ganw mein baDa amn hai meri aankh mein baDe KHwab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.