wahi rangat wahi tasir meri
vahī rangat vahī tāsīr merī
badaltī hī nahīñ tasvīr merī
suhāne ḳhvāb to dekhe haiñ lekin
ulajh kar rah ga.ī tā'bīr merī
yaqīñ jis par kiyā ḳhud se ziyāda
usī ne luuT lī jāgīr merī
bayāñ ḳhat meñ kiyā sab kuchh magar vo
samajhtā hī nahīñ tahrīr merī
mere dushman ne phir gardan jhukā lī
laraztī rah ga.ī shamshīr merī
safar meñ huuñ musalsal dekhnā hai
kahāñ le jā.egī taqdīr merī
wahi rangat wahi tasir meri
badalti hi nahin taswir meri
suhane KHwab to dekhe hain lekin
ulajh kar rah gai ta'bir meri
yaqin jis par kiya KHud se ziyaada
usi ne luT li jagir meri
bayan KHat mein kiya sab kuchh magar wo
samajhta hi nahin tahrir meri
mere dushman ne phir gardan jhuka li
larazti rah gai shamshir meri
safar mein hun musalsal dekhna hai
kahan le jaegi taqdir meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.