wahi sab se baDi hoti
vahī sab se baḌī hotī
agar terī kamī hotī
bhalā.ī gar bhalī hotī
sadī ye kyā sadī hotī
musāfir vo palaT aatā
agar āvāz dī hotī
jharoke gar khule hote
yahāñ bhī raushnī hotī
kinārā DhūñDh hī letī
na kashtī gar phañsī hotī
vo aañsū poñchhne aayā
vagarna yaañ nadī hotī
zarā sā vaqt ko roke
kahīñ aisī ghaḌī hotī
jahāñ insāñ barābar ho
koī aisī galī hotī
'tabassum' ik kahānī thī
agar tum ne paḌhī hotī
wahi sab se baDi hoti
agar teri kami hoti
bhalai gar bhali hoti
sadi ye kya sadi hoti
musafir wo palaT aata
agar aawaz di hoti
jharoke gar khule hote
yahan bhi raushni hoti
kinara DhunDh hi leti
na kashti gar phansi hoti
wo aansu ponchhne aaya
wagarna yan nadi hoti
zara sa waqt ko roke
kahin aisi ghaDi hoti
jahan insan barabar ho
koi aisi gali hoti
'tabassum' ek kahani thi
agar tum ne paDhi hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.