wahi sab se muqaddas muddaa hai
vahī sab se muqaddas mudda.ā hai
jo ab tak an-kahā hai an-sunā hai
jo merā hai vahī us kā ḳhudā hai
vo itnā bhī nahīñ pahchāntā hai
mirī ḳhāmoshiyoñ meñ iltijā hai
samā.at aur suḳhan meñ kyā rakhā hai
vo kuchh aisā hunar bhī jāntā hai
ki duniyā kī nazar meñ pārsā hai
ye dil kā dard sach-much lā-davā hai
asadullāh 'ġhālib' ne kahā hai
ḳhayāloñ kā ik aisā dā.era hai
jahāñ par ibtidā hī ibtidā hai
vo vaise to bahut nādān sā he
mohabbat kī nazar pahchāntā hai
kabhī ham ko mayassar ho na paa.ī
ḳhushī hotī to hai ham ne sunā hai
añdheroñ se kaho mātam manā.eñ
kahīñ koī diyā raushan huā hai
wahi sab se muqaddas muddaa hai
jo ab tak an-kaha hai an-suna hai
jo mera hai wahi us ka KHuda hai
wo itna bhi nahin pahchanta hai
meri KHamoshiyon mein iltija hai
samaat aur suKHan mein kya rakha hai
wo kuchh aisa hunar bhi jaanta hai
ki duniya ki nazar mein parsa hai
ye dil ka dard sach-much la-dawa hai
asadullah 'ghaalib' ne kaha hai
KHayalon ka ek aisa daera hai
jahan par ibtida hi ibtida hai
wo waise to bahut nadan sa he
mohabbat ki nazar pahchanta hai
kabhi hum ko mayassar ho na pai
KHushi hoti to hai hum ne suna hai
andheron se kaho matam manaen
kahin koi diya raushan hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.