wahi safar jo pas-e-karwan nahin hota
vahī safar jo pas-e-kārvāñ nahīñ hotā
mirā safar hai kabhī rā.egāñ nahīñ hotā
maiñ chāhtā huuñ ki armān dastaras meñ raheñ
mujhe patā hai ki baam āsmāñ nahīñ hotā
hazār chīḳhoñ meñ suntā huuñ us kī ḳhāmoshī
koī bhī zaḳhm kabhī be-zabāñ nahīñ hotā
agar vo dariyā tire shahr se guzartā nahīñ
ravāñ to hotā par itnā ravāñ nahīñ hotā
maiñ aise jaltā huuñ jaise ki bujh rahā ho koī
tū aisī aag hai jis kā dhuāñ nahīñ hotā
wahi safar jo pas-e-karwan nahin hota
mera safar hai kabhi raegan nahin hota
main chahta hun ki arman dastaras mein rahen
mujhe pata hai ki baam aasman nahin hota
hazar chiKHon mein sunta hun us ki KHamoshi
koi bhi zaKHm kabhi be-zaban nahin hota
agar wo dariya tere shahr se guzarta nahin
rawan to hota par itna rawan nahin hota
main aise jalta hun jaise ki bujh raha ho koi
tu aisi aag hai jis ka dhuan nahin hota
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.