wahi sahra sa bahut aur zara sa dariya
vahī sahrā sā bahut aur zarā sā dariyā
mujh ko lagtā hai tirā naam sunā sā dariyā
sab pahuñchte haiñ faqat pyaas bujhāne apnī
koī dekhe bhī to kaise ki hai pyāsā dariyā
terī āñkheñ haiñ samundar ye batāyā jab se
tab se aatā hai nazar mujh se ḳhafā sā dariyā
tishna-kāmoñ kī baḌī bhiiḌ lagī hai dekho
jo bhī aa.e use detā hai dilāsā dariyā
ḳhushk lab apne bhalā us ko dikhātā kaise
nazar aayā thā liye haath meñ kaasa dariyā
tairte tairte maiñ aaj bhī tāza-dam huuñ
bahte bahte nazar aatā hai thakā sā dariyā
mere lab par hai vahī pyaas purānī ab tak
mere aage hai ravāñ ek nayā sā dariyā
bolo kyā loge idhar chhoTā samundar hai 'kamāl'
hai udhar rakkhā huā ek baḌā sā dariyā
wahi sahra sa bahut aur zara sa dariya
mujh ko lagta hai tera nam suna sa dariya
sab pahunchte hain faqat pyas bujhane apni
koi dekhe bhi to kaise ki hai pyasa dariya
teri aankhen hain samundar ye bataya jab se
tab se aata hai nazar mujh se KHafa sa dariya
tishna-kaamon ki baDi bhiD lagi hai dekho
jo bhi aae use deta hai dilasa dariya
KHushk lab apne bhala us ko dikhata kaise
nazar aaya tha liye hath mein kasa dariya
tairte tairte main aaj bhi taza-dam hun
bahte bahte nazar aata hai thaka sa dariya
mere lab par hai wahi pyas purani ab tak
mere aage hai rawan ek naya sa dariya
bolo kya loge idhar chhoTa samundar hai 'kamal'
hai udhar rakkha hua ek baDa sa dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.