wahi sham ke dilase wahi subh ke bahane
vahī shaam ke dilāse vahī sub.h ke bahāne
shab-e-tār se farāġhat mile kab ḳhudā hī jaane
kahāñ vo ḳhafā ḳhafā the kahāñ aa ga.e manāne
mirī jiit ban ga.e haiñ mirī haar ke zamāne
nahīñ fasl-e-gul kā shaidā mirī ḳhvāhishoñ kā mausam
gul-e-dil karūñ jo arpan mirā devtā na jaane
shab-e-ġham badal ga.ī hai ruḳh-e-kahkashāñ kī sūrat
tirī yaad se haiñ raushan mire ġham ke ḳhāne-ḳhāne
tirī zulf-e-ambarīñ to vo matā.a-e-dilkashī hai
jise raat ne churā lī jise maañg lī ghaTā ne
tujhe pā ke bhī na paanā tujhe kho ke phir machalnā
yahī uljhanoñ ke phere yahī jiine ke bahāne
jo sitam hai un kī fitrat to hai sabr apnī aadat
diyā jor-o-zulm un ko hameñ hausla ḳhudā ne
tirī aañkh ke ye sāġhar lab-e-nāz ke kaTore
mire naam aaj kar de ye sabhī sharāb-ḳhāne
mire dil meñ ai 'fahīm' ab uThe haiñ jo dard-e-paiham
mujhe yaad aa rahe haiñ vo shabāb ke zamāne
wahi sham ke dilase wahi subh ke bahane
shab-e-tar se faraghat mile kab KHuda hi jaane
kahan wo KHafa KHafa the kahan aa gae manane
meri jit ban gae hain meri haar ke zamane
nahin fasl-e-gul ka shaida meri KHwahishon ka mausam
gul-e-dil karun jo arpan mera dewta na jaane
shab-e-gham badal gai hai ruKH-e-kahkashan ki surat
teri yaad se hain raushan mere gham ke KHane-KHane
teri zulf-e-ambarin to wo mataa-e-dilkashi hai
jise raat ne chura li jise mang li ghaTa ne
tujhe pa ke bhi na pana tujhe kho ke phir machalna
yahi uljhanon ke phere yahi jine ke bahane
jo sitam hai un ki fitrat to hai sabr apni aadat
diya jor-o-zulm un ko hamein hausla KHuda ne
teri aankh ke ye saghar lab-e-naz ke kaTore
mere nam aaj kar de ye sabhi sharab-KHane
mere dil mein ai 'fahim' ab uThe hain jo dard-e-paiham
mujhe yaad aa rahe hain wo shabab ke zamane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.