wahi subh ka dhundhalka wahi manzilen wahi shab
vahī sub.h kā dhuñdhalkā vahī manzileñ vahī shab
koī kyā samajh sakegā ġham-e-zindagī kā matlab
mirī be-qarāriyāñ haiñ mirī zindagī kā hāsil
yahī maslak-e-mohabbat yahī ahl-e-dil kā maz.hab
mire ġham kī pursishoñ se unheñ ijtināb kyoñ hai
vo samajh ga.e haiñ shāyad mirī har nazar kā matlab
ġham-e-dil hai rāz-e-hastī na bulandiyāñ na pastī
ye haqīqateñ to samjhā dil-e-be-ḳhabar magar kab
na mirī ḳhizāñ muqarrar na mirī bahār qaa.em
jo mujhe milī hai ye bhī koī zindagī hai yārab
maiñ hadīs-e-ġham sunā.ūñ maiñ vafā kā saaz chheḌūñ
jo zabāñ na khul sakī to jo kisī ne sī diye lab
koī 'hosh' kah sakā hai ġham-e-dil kabhī zabāñ se
vo savāl kar rahe haiñ maiñ kahūñ to kyā kahūñ ab
wahi subh ka dhundhalka wahi manzilen wahi shab
koi kya samajh sakega gham-e-zindagi ka matlab
meri be-qarariyan hain meri zindagi ka hasil
yahi maslak-e-mohabbat yahi ahl-e-dil ka mazhab
mere gham ki pursishon se unhen ijtinab kyon hai
wo samajh gae hain shayad meri har nazar ka matlab
gham-e-dil hai raaz-e-hasti na bulandiyan na pasti
ye haqiqaten to samjha dil-e-be-KHabar magar kab
na meri KHizan muqarrar na meri bahaar qaem
jo mujhe mili hai ye bhi koi zindagi hai yarab
main hadis-e-gham sunaun main wafa ka saz chheDun
jo zaban na khul saki to jo kisi ne si diye lab
koi 'hosh' kah saka hai gham-e-dil kabhi zaban se
wo sawal kar rahe hain main kahun to kya kahun ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.