vahī to scene ab chhā.e hue haiñ
jo tere saath filmā.e hue haiñ
kisī kī aañkh kā ye ḳhārā paanī
samundar bhiik meñ laa.e hue haiñ
badan ko chāñd ne jab se chhuā hai
sitāre ḳhud pe itrā.e hue haiñ
mohabbat aaj bhī zinda hai un se
jo dīvāroñ meñ chunvā.e hue haiñ
tumhāre lams ko paane kī ḳhātir
ham apnī zulf uljhā.e hue haiñ
rakheñ tattō yā ab miTvā deñ is ko
tere jo naam gudvā.e hue haiñ
wahi to scene ab chhae hue hain
jo tere sath filmae hue hain
kisi ki aankh ka ye KHara pani
samundar bhik mein lae hue hain
badan ko chand ne jab se chhua hai
sitare KHud pe itrae hue hain
mohabbat aaj bhi zinda hai un se
jo diwaron mein chunwae hue hain
tumhaare lams ko pane ki KHatir
hum apni zulf uljhae hue hain
rakhen tattoo ya ab miTwa den is ko
tere jo nam gudwae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.