wahi to sochun namazen qubul kyon na huin
vahī to sochūñ namāzeñ qubūl kyoñ na huiiñ
mire ḳhayāloñ meñ tū thā ḳhudā to thā hī nahīñ
vo shaḳhs mere liye she'r thā ḳhudā kā likhā
magar vo she'r jo mujh par kabhī khulā hī nahīñ
chalo ye ruuh to kar legī phir bhī koī safar
badan ke paas magar koī rāsta hī nahīñ
vo shaḳhs itnā hasīñ hai ki sochtā huuñ maiñ
vo sirf miTTī havā paanī se banā hī nahīñ
'ajab nahīñ ki maiñ us sānahe pe rotā huuñ
vo sāniha jo mire saath meñ huā hī nahīñ
to kyā bichhaḌ ga.e ham log tum ne aisā kahā
magar bichhaḌne kā ehsās to huā hī nahīñ
wahi to sochun namazen qubul kyon na huin
mere KHayalon mein tu tha KHuda to tha hi nahin
wo shaKHs mere liye she'r tha KHuda ka likha
magar wo she'r jo mujh par kabhi khula hi nahin
chalo ye ruh to kar legi phir bhi koi safar
badan ke pas magar koi rasta hi nahin
wo shaKHs itna hasin hai ki sochta hun main
wo sirf miTTi hawa pani se bana hi nahin
'ajab nahin ki main us sanahe pe rota hun
wo saniha jo mere sath mein hua hi nahin
to kya bichhaD gae hum log tum ne aisa kaha
magar bichhaDne ka ehsas to hua hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.