wahi zamin wahi sar pe aasman nikla
vahī zamīn vahī sar pe āsmāñ niklā
safar ke paar bhī ik dasht-e-rā.egāñ niklā
jo is ko dekhā to tasvīr ban ga.iiñ āñkheñ
ye jāgtā huā pal ḳhvāb-e-be-karāñ niklā
ravāñ the ham to safar par charāġh-e-hosh liye
magar sabāt-e-jahāñ kār-e-nā-gahāñ niklā
uḌī qabā-e-sikandar ġhubār-e-nisyāñ meñ
tulū-e-sāġhar-e-jam shola-e-gumāñ niklā
kahīñ thā shor-e-takallum kahīñ thī ḳhāmoshī
jo ham-kalām thā ham se vo darmiyāñ niklā
use chhuā to vo gum ho gayā havā kī tarah
ajab nazāra thā zāhir meñ bhī nihāñ niklā
fusūn-e-ishq qimār-e-havas-garī Thahrā
tamām giryā-e-jāñ zeb-e-dāstāñ niklā
kahīñ hai dasht-e-halākat kahīñ hai hairānī
tirī talāsh meñ ye rāsta kahāñ niklā
bas ik galīm-e-suḳhan dosh-e-umr thī 'sarmad'
usī ke tār-e-shikasta se la.al-e-jāñ niklā
wahi zamin wahi sar pe aasman nikla
safar ke par bhi ek dasht-e-raegan nikla
jo is ko dekha to taswir ban gain aankhen
ye jagta hua pal KHwab-e-be-karan nikla
rawan the hum to safar par charagh-e-hosh liye
magar sabaat-e-jahan kar-e-na-gahan nikla
uDi qaba-e-sikandar ghubar-e-nisyan mein
tulu-e-saghar-e-jam shola-e-guman nikla
kahin tha shor-e-takallum kahin thi KHamoshi
jo ham-kalam tha hum se wo darmiyan nikla
use chhua to wo gum ho gaya hawa ki tarah
ajab nazara tha zahir mein bhi nihan nikla
fusun-e-ishq qimar-e-hawas-gari Thahra
tamam girya-e-jaan zeb-e-dastan nikla
kahin hai dasht-e-halakat kahin hai hairani
teri talash mein ye rasta kahan nikla
bas ek galim-e-suKHan dosh-e-umr thi 'sarmad'
usi ke tar-e-shikasta se lal-e-jaan nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.