wahin par hun jahan rukta raha hun
vahīñ par huuñ jahāñ ruktā rahā huuñ
maiñ apne aap se uktā rahā huuñ
guzartī umr ke hamrāh ḳhud par
sahīfoñ kī tarah khultā rahā huuñ
suno merī bhī kuchh ab to ḳhudārā
tumhārī bhī to maiñ suntā rahā huuñ
jo kiiñ haiñ pesh tum ne kyā batā.ūñ
har ik mantiq pe sar dhuntā rahā huuñ
bachāne ḳhud ko apnī hī tapish se
maiñ apne saa.e meñ chhuptā rahā huuñ
bahut DhūñDā hai maiñ ne ḳhud ko lekin
isī koshish meñ ḳhud gumtā rahā huuñ
chale aate haiñ rozāna Darāne
vo jin ke qarz meñ chuktā rahā huuñ
parā.e shahr meñ yāroñ se kaT kar
ġharīboñ kī tarah rultā rahā huuñ
ye qīmat kam hai shāyad maiñ tumhāre
tarāzū meñ ġhalat tultā rahā huuñ
nahīñ aadat mujhe piine kī maiñ to
tumhārī yaad meñ ghultā rahā huuñ
chale aao ki rasta saaf hai ab
maiñ kāñTe raah ke chuntā rahā huuñ
wahin par hun jahan rukta raha hun
main apne aap se ukta raha hun
guzarti umr ke hamrah KHud par
sahifon ki tarah khulta raha hun
suno meri bhi kuchh ab to KHudara
tumhaari bhi to main sunta raha hun
jo kin hain pesh tum ne kya bataun
har ek mantiq pe sar dhunta raha hun
bachane KHud ko apni hi tapish se
main apne sae mein chhupta raha hun
bahut DhunDa hai main ne KHud ko lekin
isi koshish mein KHud gumta raha hun
chale aate hain rozana Darane
wo jin ke qarz mein chukta raha hun
parae shahr mein yaron se kaT kar
gharibon ki tarah rulta raha hun
ye qimat kam hai shayad main tumhaare
taraazu mein ghalat tulta raha hun
nahin aadat mujhe pine ki main to
tumhaari yaad mein ghulta raha hun
chale aao ki rasta saf hai ab
main kanTe rah ke chunta raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.