wahin pe sach ka mujhe tarjuman hona tha
vahīñ pe sach kā mujhe tarjumān honā thā
qadam qadam pe jahāñ imtihān honā thā
tumhārī yaad ko kab tak sajā ke rakhtā maiñ
kabhī to ḳhālī ye dil kā makān honā thā
ajiib shauq thā us ko bhī haq-navā.ī kā
gañvā ke jaan bhī jag meñ mahān honā thā
maiñ aur hirs kyā kartā lapak ke chhūne kī
mujhe zamīn use āsmān honā thā
havā kī hukm-udūlī se mujh ko hāsil kyā
mire nasīb meñ jab bādbān honā thā
wahin pe sach ka mujhe tarjuman hona tha
qadam qadam pe jahan imtihan hona tha
tumhaari yaad ko kab tak saja ke rakhta main
kabhi to KHali ye dil ka makan hona tha
ajib shauq tha us ko bhi haq-nawai ka
ganwa ke jaan bhi jag mein mahan hona tha
main aur hirs kya karta lapak ke chhune ki
mujhe zamin use aasman hona tha
hawa ki hukm-uduli se mujh ko hasil kya
mere nasib mein jab baadban hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.