wahin ruke hain jahan moD dastan ka tha
vahīñ ruke haiñ jahāñ moḌ dāstān kā thā
vo fāsla hī rahā hai jo darmiyān kā thā
usī dayār meñ ham ne bhī din guzāre haiñ
ḳhayāl sab ko jahāñ apnī ān-bān kā thā
hamāre paañv ke nīche zamīn aisī thī
qadam-qadam pe gumāñ jis pe āsmān kā thā
isī liye to lahū ro ke bhī hañsī aa.ī
maiñ jāntā huuñ ki vo tiir kis kamān kā thā
idhar bhī aa.e the arjun ke baan kī sūrat
samajh liyā hai ishāra jo mehrbān kā thā
chaman meñ ġhuncha-o-gul kī shaguftagī dekhī
phir us ke baa'd jo khulnā mirī zabān kā thā
nigār-e-sub.h ke hamrāh ban-sañvar ke gayā
vo rahne vaalā jo ujḌe hue makān kā thā
hamārī himmateñ 'iqbāl' ham ko le aa.iiñ
idhar to ruḳh na havā kā na bādbān kā thā
wahin ruke hain jahan moD dastan ka tha
wo fasla hi raha hai jo darmiyan ka tha
usi dayar mein hum ne bhi din guzare hain
KHayal sab ko jahan apni aan-ban ka tha
hamare panw ke niche zamin aisi thi
qadam-qadam pe guman jis pe aasman ka tha
isi liye to lahu ro ke bhi hansi aai
main jaanta hun ki wo tir kis kaman ka tha
idhar bhi aae the arjun ke ban ki surat
samajh liya hai ishaara jo mehrban ka tha
chaman mein ghuncha-o-gul ki shaguftagi dekhi
phir us ke ba'd jo khulna meri zaban ka tha
nigar-e-subh ke hamrah ban-sanwar ke gaya
wo rahne wala jo ujDe hue makan ka tha
hamari himmaten 'iqbaal' hum ko le aain
idhar to ruKH na hawa ka na baadban ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.