wahm kaisa guman mein bhi nahin
vahm kaisā gumān meñ bhī nahīñ
tum faqīroñ ke dhyān meñ bhī nahīñ
ham dil-e-dostāñ meñ rahte haiñ
tum to apne makān meñ bhī nahīñ
ab vo patthar kahāñ se aa.egā
ab tirā ghar chaTān meñ bhī nahīñ
varna tum ko faroḳht kar dete
tum hamārī dukān meñ bhī nahīñ
log raushan haiñ apnī miTTī se
tum kisī ḳhāk-dān meñ bhī nahīñ
ham to apne paroñ pe uḌte haiñ
tum parā.ī uḌaan meñ bhī nahīñ
aaj kyā dhuup tum ko chaaT ga.ī
aaj tum sā.ebān meñ bhī nahīñ
ek rāhat jo qurb-e-yār meñ hai
mai-kade kī amaan meñ bhī nahīñ
us ke lahje meñ vo miThās thī 'qais'
apnī urdu zabān meñ bhī nahīñ
wahm kaisa guman mein bhi nahin
tum faqiron ke dhyan mein bhi nahin
hum dil-e-dostan mein rahte hain
tum to apne makan mein bhi nahin
ab wo patthar kahan se aaega
ab tera ghar chaTan mein bhi nahin
warna tum ko faroKHt kar dete
tum hamari dukan mein bhi nahin
log raushan hain apni miTTi se
tum kisi KHak-dan mein bhi nahin
hum to apne paron pe uDte hain
tum parai uDan mein bhi nahin
aaj kya dhup tum ko chaT gai
aaj tum saeban mein bhi nahin
ek rahat jo qurb-e-yar mein hai
mai-kade ki aman mein bhi nahin
us ke lahje mein wo miThas thi 'qais'
apni urdu zaban mein bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.