wahshat baras rahi hai diwane ki aankh se
vahshat baras rahī hai divāne kī aañkh se
parkhā hai us ne sach ko fasāne kī aañkh se
maiñ munfarid nahīñ to zarā muḳhtalif to thā
dekhā hai tū ne mujh ko zamāne kī aañkh se
ghaav mire badan pe nahīñ ruuh par bhī haiñ
pheñkā thā us ne tiir nishāne kī aañkh se
chāroñ taraf hai ek hī sūrat sajī huī
duniyā ko dekh ā.ina-ḳhāne kī aañkh se
hone pe apne zo'm thā mujh ko 'safī' magar
ab dekhtā huuñ ḳhud ko bahāne kī aañkh se
wahshat baras rahi hai diwane ki aankh se
parkha hai us ne sach ko fasane ki aankh se
main munfarid nahin to zara muKHtalif to tha
dekha hai tu ne mujh ko zamane ki aankh se
ghaw mere badan pe nahin ruh par bhi hain
phenka tha us ne tir nishane ki aankh se
chaaron taraf hai ek hi surat saji hui
duniya ko dekh aaina-KHane ki aankh se
hone pe apne zo'm tha mujh ko 'safi' magar
ab dekhta hun KHud ko bahane ki aankh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.