wahshat-e-baam-o-dar se bhagte hain
vahshat-e-bām-o-dar se bhāgte haiñ
jab kabhī apne ghar se bhāgte haiñ
haath maltā hai dīda-e-hairāñ
log itnā hunar se bhāgte haiñ
jis meñ kuchh bhī burā nahīñ lagtā
aise husn-e-nazar se bhāgte haiñ
mere is shahr-e-be-yaqīn ke log
shor se aur shar se bhāgte haiñ
aisā badlā mizāj-e-āb-o-havā
peḌ apne samar se bhāgte haiñ
qahqahoñ meñ jo the sharīk vahī
ab mirī chashm-e-tar se bhāgte haiñ
'badr' ham haiñ ġhazāl-e-dasht-e-junūñ
vo jidhar ho udhar se bhāgte haiñ
wahshat-e-baam-o-dar se bhagte hain
jab kabhi apne ghar se bhagte hain
hath malta hai dida-e-hairan
log itna hunar se bhagte hain
jis mein kuchh bhi bura nahin lagta
aise husn-e-nazar se bhagte hain
mere is shahr-e-be-yaqin ke log
shor se aur shar se bhagte hain
aisa badla mizaj-e-ab-o-hawa
peD apne samar se bhagte hain
qahqahon mein jo the sharik wahi
ab meri chashm-e-tar se bhagte hain
'badr' hum hain ghazal-e-dasht-e-junun
wo jidhar ho udhar se bhagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.