wahshat-e-dil chashm-e-hairan KHwab-e-sahra aur main
vahshat-e-dil chashm-e-hairāñ ḳhvāb-e-sahrā aur maiñ
ik bisāt-e-shauq par merā tamāshā aur maiñ
tere hāthoñ se banā kashkol bhartā hī nahīñ
qarya qarya ghūmte haiñ merā kaasa aur maiñ
ek hī sūrat ke do TukḌe hue hoñ kyā ḳhabar
shaam ke māthe pe vo pahlā sitāra aur maiñ
dam-ba-dam saut-o-sadā nā-mo'tabar hotī ga.ī
pusht par hai phir bhī goyā merā saaya aur maiñ
us ke hisse meñ to ābādī rahī sāhil rahā
mere hisse meñ hai 'rāshid' chaḌhtā dariyā aur maiñ
wahshat-e-dil chashm-e-hairan KHwab-e-sahra aur main
ek bisat-e-shauq par mera tamasha aur main
tere hathon se bana kashkol bharta hi nahin
qarya qarya ghumte hain mera kasa aur main
ek hi surat ke do TukDe hue hon kya KHabar
sham ke mathe pe wo pahla sitara aur main
dam-ba-dam saut-o-sada na-mo'tabar hoti gai
pusht par hai phir bhi goya mera saya aur main
us ke hisse mein to aabaadi rahi sahil raha
mere hisse mein hai 'rashid' chaDhta dariya aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.