wahshat-e-dil mangti hai dasht ka manzar koi
vahshat-e-dil māñgtī hai dasht kā manzar koī
kar fasīl-e-shahr meñ āvārgī ab dar koī
āgahī ham par musībat gumrahī ham par harām
de suhūlat zindagī ko dāvar-e-mahshar koī
yā to chashm-e-bad lagī hai ghar kī is dīvār ko
yā kahīñ buniyād meñ kam paḌ gayā patthar koī
ḳhud banānā paḌ rahā hai paikar-e-shakl-e-vajūd
ham se patthar ko mayassar hai kahāñ aazar koī
tab talak hāsil shu’ūr-e-zindagī hotā nahīñ
jab talak lagtī nahīñ insān ko Thokar koī
ik nazar duniyā kī jānib ik nazar us kī taraf
hai hamārī zaat ke andar koī bāhar koī
hai ye parvāz-e-taḳhayyul yā hai iz.hār-e-vajūd
yā ki phir ilhām hai ye shā'irī ham par koī
wahshat-e-dil mangti hai dasht ka manzar koi
kar fasil-e-shahr mein aawargi ab dar koi
aagahi hum par musibat gumrahi hum par haram
de suhulat zindagi ko dawar-e-mahshar koi
ya to chashm-e-bad lagi hai ghar ki is diwar ko
ya kahin buniyaad mein kam paD gaya patthar koi
KHud banana paD raha hai paikar-e-shakl-e-wajud
hum se patthar ko mayassar hai kahan aazar koi
tab talak hasil shu’ur-e-zindagi hota nahin
jab talak lagti nahin insan ko Thokar koi
ek nazar duniya ki jaanib ek nazar us ki taraf
hai hamari zat ke andar koi bahar koi
hai ye parwaz-e-taKHayyul ya hai izhaar-e-wajud
ya ki phir ilham hai ye sha'iri hum par koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.