wahshat-e-gham mein sukun zist ko milta bhi kahan
vahshat-e-ġham meñ sukūñ ziist ko miltā bhī kahāñ
thā bayābān meñ dīvār kā saayā bhī kahāñ
ek muddat se na yaad aa.ī na jaañ taḌpī hai
dil tujhe bhuul gayā ho magar aisā bhī kahāñ
husn bhī vo na rahā pahlā sā dildār-e-hunar
aah pahlī sī vo ab azmat-e-tesha bhī kahāñ
maslahat-bīñ hai agar ishq-e-junūñ-pesha to kyā
ab vo pahle kī tirā vus.at-e-sahrā bhī kahāñ
koī manzil hī na thī manzil-e-ġham se aage
qāfila apnī tamannāoñ kā ruktā bhī kahāñ
ġhair-mahdūd ḳhalāoñ meñ safar kartā huuñ
aur rasā.ī kā ye aalam hai ki bhaTkā bhī kahāñ
nikhat-o-nūr se ma.amūr fazā hai phir bhī
to ki is rāhguzar se abhī guzrā bhī kahāñ
haram-o-dair se ye sar jo kashīda aayā
jhuk gayā dar pe tire aur ye jhuktā bhī kahāñ
ḳhaak uḌātā hai abhī dasht-e-talab hī meñ 'salām'
dil-e-rusvā ye huā hai abhī rusvā bhī kahāñ
wahshat-e-gham mein sukun zist ko milta bhi kahan
tha bayaban mein diwar ka saya bhi kahan
ek muddat se na yaad aai na jaan taDpi hai
dil tujhe bhul gaya ho magar aisa bhi kahan
husn bhi wo na raha pahla sa dildar-e-hunar
aah pahli si wo ab azmat-e-tesha bhi kahan
maslahat-bin hai agar ishq-e-junun-pesha to kya
ab wo pahle ki tera wusat-e-sahra bhi kahan
koi manzil hi na thi manzil-e-gham se aage
qafila apni tamannaon ka rukta bhi kahan
ghair-mahdud KHalaon mein safar karta hun
aur rasai ka ye aalam hai ki bhaTka bhi kahan
nikhat-o-nur se mamur faza hai phir bhi
to ki is rahguzar se abhi guzra bhi kahan
haram-o-dair se ye sar jo kashida aaya
jhuk gaya dar pe tere aur ye jhukta bhi kahan
KHak uData hai abhi dasht-e-talab hi mein 'salam'
dil-e-ruswa ye hua hai abhi ruswa bhi kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.