wahshat-e-hijr hai andesha-e-tanhai hai
vahshat-e-hijr hai andesha-e-tanhā.ī hai
bāb-e-hastī kā 'ajab qissa-e-tanhā.ī hai
jis taraf dekhtā huuñ sāya-e-tanhā.ī hai
āḳhirash tā-ba-kujā hītā-e-tanhā.ī hai
vo ki jis qabr pe mela sā lagā rahtā thā
aaj ḳhasta sā vahāñ katba-e-tanhā.ī hai
phir se ik baar vahī jurm kiyā hai maiñ ne
phir se ik baar mujhe ḳhadsha-e-tanhā.ī hai
maiñ to bas mā'nā-e-misdāq usī lafz kā huuñ
mus.haf-e-zīst meñ jo sīġha-e-tanhā.ī hai
‘ālam-e-vasl kī lazzat se maiñ vāqif hī kahāñ
mere hisse meñ to bas gosha-e-tanhā.ī hai
āj-kal niiñd se is tarh maiñ chauñk uThtā huuñ
jaise ḳhvāboñ pe bhī ab qabza-e-tanhā.ī hai
'ishq kā ek jazīra hai mirā dil 'sāqib'
aur phir is meñ faqat mauja-e-tanhā.ī hai
wahshat-e-hijr hai andesha-e-tanhai hai
bab-e-hasti ka 'ajab qissa-e-tanhai hai
jis taraf dekhta hun saya-e-tanhai hai
aaKHirash ta-ba-kuja hita-e-tanhai hai
wo ki jis qabr pe mela sa laga rahta tha
aaj KHasta sa wahan katba-e-tanhai hai
phir se ek bar wahi jurm kiya hai main ne
phir se ek bar mujhe KHadsha-e-tanhai hai
main to bas ma'na-e-misdaq usi lafz ka hun
mushaf-e-zist mein jo sigha-e-tanhai hai
‘alam-e-wasl ki lazzat se main waqif hi kahan
mere hisse mein to bas gosha-e-tanhai hai
aaj-kal nind se is tarh main chaunk uThta hun
jaise KHwabon pe bhi ab qabza-e-tanhai hai
'ishq ka ek jazira hai mera dil 'saqib'
aur phir is mein faqat mauja-e-tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.