wahshat-e-hijr ka anjam use likh dena
vahshat-e-hijr kā anjām use likh denā
ai masīhā mirā paiġhām use likh denā
merī nazroñ meñ ye duniyā hī ḳhatāvār nahīñ
vo bhī hai morid-e-ilzām use likh denā
tere hamrāh kabhī maiñ ne guzārī thī jo
apnī qismat kī hasīñ shaam use likh denā
vo agar tum se kabhī pūchh le ahvāl mire
merī ye hasrat-e-nākām use likh denā
ho ga.ī haiñ mirī matrūk uḌāneñ saarī
maiñ taḌaptī huuñ tah-e-dām use likh denā
us ko jaanā hai jahāñ jaa.e rahūñgī us kī
umr bhar bandī-e-be-dām use likh denā
yuuñ vafāoñ kā sila mujh ko milā hai 'resham'
ho ga.ī shahr meñ gumnām use likh denā
wahshat-e-hijr ka anjam use likh dena
ai masiha mera paigham use likh dena
meri nazron mein ye duniya hi KHatawar nahin
wo bhi hai morid-e-ilzam use likh dena
tere hamrah kabhi main ne guzari thi jo
apni qismat ki hasin sham use likh dena
wo agar tum se kabhi puchh le ahwal mere
meri ye hasrat-e-nakaam use likh dena
ho gai hain meri matruk uDanen sari
main taDapti hun tah-e-dam use likh dena
us ko jaana hai jahan jae rahungi us ki
umr bhar bandi-e-be-dam use likh dena
yun wafaon ka sila mujh ko mila hai 'resham'
ho gai shahr mein gumnam use likh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.