wahshat-e-jaan ka silsila bola
vahshat-e-jāñ kā silsila bolā
chup rahī maiñ to aa.ina bolā
log pal bhar meñ bhuul jaate haiñ
ek manzil se rāsta bolā
hashr ke din mirī shafā'at ko
un kī nisbat kā vāsta bolā
lafz jab be-zabān hone lage
dil se phir dil kā rābta bolā
maiñ ne urdu meñ baat kī jab bhī
sab zabānoñ kā zā.iqa bolā
manzileñ paas aa ga.iiñ chal kar
jab musāfir kā hausla bolā
ham ko gumrāh kar gayā rahbar
biich raste meñ qāfila bolā
dil se jaatī nahīñ hai yaad tirī
saiñkaḌoñ baar taḳhliya bolā
vo kisī roz chhoḌ jā.egā
bār-hā dil se vasvasa bolā
sab radīfoñ ko maat dī 'ambar'
aisā bharpūr qāfiya bolā
wahshat-e-jaan ka silsila bola
chup rahi main to aaina bola
log pal bhar mein bhul jate hain
ek manzil se rasta bola
hashr ke din meri shafa'at ko
un ki nisbat ka wasta bola
lafz jab be-zaban hone lage
dil se phir dil ka rabta bola
main ne urdu mein baat ki jab bhi
sab zabanon ka zaiqa bola
manzilen pas aa gain chal kar
jab musafir ka hausla bola
hum ko gumrah kar gaya rahbar
bich raste mein qafila bola
dil se jati nahin hai yaad teri
sainkaDon bar taKHliya bola
wo kisi roz chhoD jaega
bar-ha dil se waswasa bola
sab radifon ko mat di 'ambar'
aisa bharpur qafiya bola
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.