wahshat ka rang barsar-e-paikar phir hua
vahshat kā rañg barsar-e-paikār phir huā
ik aks aa.ine se numūdār phir huā
darpesh ek chashma-e-zahrāb thā magar
dil tishna-lab thā is liye mai-ḳhvār phir huā
phir hañs paḌā nazar meñ gul-pairahan kā chaak
mausam junūñ kā bā.is-e-āzār phir huā
sūraj ne vo sulūk kiyā zindagī ke saath
insān tīrgī kā parastār phir huā
mujh meñ simaT ke rah ga.iiñ duniyā kī vus.ateñ
uḌne chalā thā maiñ ki giraftār phir huā
bas ek hī nigāh meñ gum ho ga.e havās
'najmī' jo us hasīn kā dīdār phir huā
wahshat ka rang barsar-e-paikar phir hua
ek aks aaine se numudar phir hua
darpesh ek chashma-e-zahrab tha magar
dil tishna-lab tha is liye mai-KHwar phir hua
phir hans paDa nazar mein gul-pairahan ka chaak
mausam junun ka bais-e-azar phir hua
suraj ne wo suluk kiya zindagi ke sath
insan tirgi ka parastar phir hua
mujh mein simaT ke rah gain duniya ki wusaten
uDne chala tha main ki giraftar phir hua
bas ek hi nigah mein gum ho gae hawas
'najmi' jo us hasin ka didar phir hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.