wahshat ke talawwun mein guzri ki guzar aae
vahshat ke talavvun meñ guzrī ki guzār aa.e
ik ahd bujhā aa.e ik 'umr ko haar aa.e
tum log bhī kyā samjho tum log bhī kyā jaano
kis ḳhvāb-asāse ko miTTī meñ utaar aa.e
vo rañg jo bheje the us chashm-e-fusūñ-gar ko
vo rañg vahīñ apnī tābānī ko vaar aa.e
ab ābla-pā.ī hai lamhoñ kī girānī hai
ḳhush-bāsh ga.e the jo vo sīna-figār aa.e
ġham se thiiñ bujhī āñkheñ chehre pe taġhayyur thā
ik shaḳhs ko kyā dekhā be-ant nikhār aa.e
āvāz kā kyā hogā ye 'ilm thā pahle se
bas zid meñ ḳhamoshī kī ham un ko pukār aa.e
wahshat ke talawwun mein guzri ki guzar aae
ek ahd bujha aae ek 'umr ko haar aae
tum log bhi kya samjho tum log bhi kya jaano
kis KHwab-asase ko miTTi mein utar aae
wo rang jo bheje the us chashm-e-fusun-gar ko
wo rang wahin apni tabani ko war aae
ab aabla-pai hai lamhon ki girani hai
KHush-bash gae the jo wo sina-figar aae
gham se thin bujhi aankhen chehre pe taghayyur tha
ek shaKHs ko kya dekha be-ant nikhaar aae
aawaz ka kya hoga ye 'ilm tha pahle se
bas zid mein KHamoshi ki hum un ko pukar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.