wahshat ki baat ho to bila-shak farid hain
vahshat kī baat ho to bilā-shak farīd haiñ
par ishq meñ to qais jī mere murīd haiñ
nafrat ke bīhaḌoñ ko hamāre lahū se sīñch
ham log jang-e-ishq ke antim shahīd haiñ
in kā mutāle’a hai miyāñ shart-e-dīn-e-ishq
ye hoñToñ ke nishān kalām-e-majīd haiñ
mujh ko yaqīñ dilānā hai to ruuh ban ke mil
ye husn-o-jism ishq kī kachchī rasīd haiñ
kyā hai koī umiid ki ham ko pata chale
ham log ek umr se kyoñ nā-umīd haiñ
ham aane vaalī nasl ko deñge shadīd pyaas
ham log zer-e-bai'at-e-fikr-e-yazīd haiñ
wahshat ki baat ho to bila-shak farid hain
par ishq mein to qais ji mere murid hain
nafrat ke bihaDon ko hamare lahu se sinch
hum log jang-e-ishq ke antim shahid hain
in ka mutale’a hai miyan shart-e-din-e-ishq
ye honTon ke nishan kalam-e-majid hain
mujh ko yaqin dilana hai to ruh ban ke mil
ye husn-o-jism ishq ki kachchi rasid hain
kya hai koi umid ki hum ko pata chale
hum log ek umr se kyon na-umid hain
hum aane wali nasl ko denge shadid pyas
hum log zer-e-bai'at-e-fikr-e-yazid hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.