wahshat ki mari aankhon ne dil ke shahr ko pur-KHun dekha
vahshat kī maarī āñkhoñ ne dil ke shahr ko pur-ḳhūñ dekhā
shīsha-e-ḳhvāb se yuuñ pathrā.īñ ki der talak phir gardūñ dekhā
ghun ke gharoñ ke gun gaao ham un kī hifāzat meñ piste haiñ
kiiḌo makoḌo tumhārī majāl ki tum ne hamārā gehūñ dekhā
jis kaayā chhattar-chhāyā ne dhūpoñ ke dhāre ġhalat kiye
hañste baste pāgal ne us bādal se bāhar kyoñ dekhā
chandra-mukhī sub.hoñ ko taḌpī shāmoñ ko sūraj-mukhī roī
roz-o-shab ke ā.īne ko ham ne hamesha digar-gūñ dekhā
sakhiyoñ allah-rakhiyoñ ne bas tā'bīroñ kī dhuul uḌaa.ī
maiñ ne puure hosh-o-havās meñ dhund ke paar humāyūñ dekhā
kaisī rasīlī kaisī kaTīlī ok pe apnī pyāsī nazar thī
juuñ ganne kī poreñ dekhīñ aur poroñ meñ līmūñ dekhā
shā'ir ne dīvār-e-'adam se rauzan-e-bandobast nikālā
mahbūba ke iiñT barābar nazzāre ko juuñ tuuñ dekhā
wahshat ki mari aankhon ne dil ke shahr ko pur-KHun dekha
shisha-e-KHwab se yun pathrain ki der talak phir gardun dekha
ghun ke gharon ke gun gao hum un ki hifazat mein piste hain
kiDo makoDo tumhaari majal ki tum ne hamara gehun dekha
jis kaya chhattar-chhaya ne dhupon ke dhaare ghalat kiye
hanste baste pagal ne us baadal se bahar kyon dekha
chandra-mukhi subhon ko taDpi shamon ko suraj-mukhi roi
roz-o-shab ke aaine ko hum ne hamesha digar-gun dekha
sakhiyon allah-rakhiyon ne bas ta'biron ki dhul uDai
main ne pure hosh-o-hawas mein dhund ke par humayun dekha
kaisi rasili kaisi kaTili ok pe apni pyasi nazar thi
jun ganne ki poren dekhin aur poron mein limun dekha
sha'ir ne diwar-e-'adam se rauzan-e-bandobast nikala
mahbuba ke inT barabar nazzare ko jun tun dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.