wahshat ki siyah shab mein dilasa hai ki tum ho
wahshat ki siyah shab mein dilasa hai ki tum ho
Mohammad Muzammil Khan
MORE BYMohammad Muzammil Khan
vahshat kī siyah shab meñ dilāsā hai ki tum ho
tapte hue sahrāoñ meñ saaya hai ki tum ho
sūkhī huī sākit sī zamīñ hai ki ye maiñ huuñ
chaltā huā ek abr kā TukḌā hai ki tum ho
tūfān meñ bhaTkā huā ek shaḳhs vo maiñ huuñ
kashtī ko talātum meñ kināra hai ki tum ho
maiñ ho ke na hone kī bhī sūrat meñ huuñ yaksāñ
ilhām kī sūrat meñ ishāra hai ki tum ho
'bechain' koī aur hī parde meñ hai maḳhfī
duniyā ko haqīqat meñ ye dhoka hai ki tum ho
wahshat ki siyah shab mein dilasa hai ki tum ho
tapte hue sahraon mein saya hai ki tum ho
sukhi hui sakit si zamin hai ki ye main hun
chalta hua ek abr ka TukDa hai ki tum ho
tufan mein bhaTka hua ek shaKHs wo main hun
kashti ko talatum mein kinara hai ki tum ho
main ho ke na hone ki bhi surat mein hun yaksan
ilham ki surat mein ishaara hai ki tum ho
'bechain' koi aur hi parde mein hai maKHfi
duniya ko haqiqat mein ye dhoka hai ki tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.