wahshat ko sana chhupae rakhna
vahshat ko 'sanā' chhupā.e rakhnā
dastār-o-qabā sajā.e rakhnā
dīvāne hī tere jānte haiñ
sahrāoñ ko bhī basā.e rakhnā
āñkhoñ ke sitāre ruup kā chāñd
ye saare diye jalā.e rakhnā
sāñsoñ kī mahak badan kī ḳhushbū
hoñToñ ke kañval khilā.e rakhnā
palkoñ kī ye chhāñv ruup kī dhuup
māthe kī sahar jagā.e rakhnā
kuchh garm havā.eñ chal rahī haiñ
zulfoñ kī ghaTā chhupā.e rakhnā
uljhā huuñ abhī ġham-e-jahāñ meñ
bātoñ meñ use lagā.e rakhnā
wahshat ko 'sana' chhupae rakhna
dastar-o-qaba sajae rakhna
diwane hi tere jaante hain
sahraon ko bhi basae rakhna
aankhon ke sitare rup ka chand
ye sare diye jalae rakhna
sanson ki mahak badan ki KHushbu
honTon ke kanwal khilae rakhna
palkon ki ye chhanw rup ki dhup
mathe ki sahar jagae rakhna
kuchh garm hawaen chal rahi hain
zulfon ki ghaTa chhupae rakhna
uljha hun abhi gham-e-jahan mein
baaton mein use lagae rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.