wahshat mein kya shak hai ji
vahshat meñ kyā shak hai jī
ham soñ kī lekhak hai jī
nīchoñ se rishte joḌe
naslan hī mūrakh hai jī
is dil ke ā.īne meñ
vo sūrat ab tak hai jī
us ke yaad aane kā vaqt
sub.h se shab nau tak hai jī
aañsū ke motī nikleñ
yādoñ kī gullak hai jī
chehroñ kā ujlā-pan kyā
man meñ to kālak hai jī
raj kar dil zaḳhmātī hai
vo sūrat ghātak hai jī
ham ko pyaar kā ġham sab kuchh
tum ko to nāTak hai jī
āñkheñ haiñ mudrā us kī
ġham un kā gāhak hai jī
kānoñ meñ āvāz us kī
dil hai yā dhak-dhak hai jī
phal dekheñ kyā aatā hai
mehnat to anthak hai jī
wahshat mein kya shak hai ji
hum son ki lekhak hai ji
nichon se rishte joDe
naslan hi murakh hai ji
is dil ke aaine mein
wo surat ab tak hai ji
us ke yaad aane ka waqt
subh se shab nau tak hai ji
aansu ke moti niklen
yaadon ki gullak hai ji
chehron ka ujla-pan kya
man mein to kalak hai ji
raj kar dil zaKHmati hai
wo surat ghatak hai ji
hum ko pyar ka gham sab kuchh
tum ko to naTak hai ji
aankhen hain mudra us ki
gham un ka gahak hai ji
kanon mein aawaz us ki
dil hai ya dhak-dhak hai ji
phal dekhen kya aata hai
mehnat to anthak hai ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.