wahshat nahin hoti koi sauda nahin hota
vahshat nahīñ hotī koī saudā nahīñ hotā
ai kaash ki maiñ ne tujhe dekhā nahīñ hotā
hone ko to is duniyā meñ kyā kyā nahīñ hotā
ik tū hī kisī taur hamārā nahīñ hotā
kyā baat hai kāfūr nahīñ hotī siyāhī
kyoñ sham' nahīñ jaltī ujālā nahīñ hotā
ye dard hai kyā dard ki thamtā hī nahīñ hai
ye zaḳhm hai kyā zaḳhm ki achchhā nahīñ hotā
ye raat hai kyā raat ki kaTtī hī nahīñ hai
kyā baat hai kyoñ nuur kā taḌkā nahīñ hotā
rakhte ho sab andāz ravā dushmanī vaale
ye kyā hai mohabbat meñ to aisā nahīñ hotā
do pal jo Thahar jaao to baḌh jaatā hai aage
ye vaqt hai aur vaqt kisī kā nahīñ hotā
hote haiñ mire saath mire saare masā.il
maiñ ho ke akelā bhī akelā nahīñ hotā
'nūr' aaj ke kāmoñ ko uThā rakkho na kal par
kyā kal kā bharosa hai ki hotā nahīñ hotā
wahshat nahin hoti koi sauda nahin hota
ai kash ki main ne tujhe dekha nahin hota
hone ko to is duniya mein kya kya nahin hota
ek tu hi kisi taur hamara nahin hota
kya baat hai kafur nahin hoti siyahi
kyon sham' nahin jalti ujala nahin hota
ye dard hai kya dard ki thamta hi nahin hai
ye zaKHm hai kya zaKHm ki achchha nahin hota
ye raat hai kya raat ki kaTti hi nahin hai
kya baat hai kyon nur ka taDka nahin hota
rakhte ho sab andaz rawa dushmani wale
ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota
do pal jo Thahar jao to baDh jata hai aage
ye waqt hai aur waqt kisi ka nahin hota
hote hain mere sath mere sare masail
main ho ke akela bhi akela nahin hota
'nur' aaj ke kaamon ko uTha rakkho na kal par
kya kal ka bharosa hai ki hota nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.