wahshat si barasne lagi diwar se dar se
vahshat sī barasne lagī dīvār se dar se
sahrā kī hadeñ aise milī haiñ mire ghar se
pathrāne lagīñ rāsta taktī huī āñkheñ
un ke liye jo lauT ke aa.e na safar se
har raah meñ bikhre the tirī yaad ke saa.e
maiñ dhuup meñ kyā chhāñv talab kartā shajar se
āñkhoñ meñ judā.ī kī sisaktī huī ghaḌiyāñ
maiñ bhāñp gayā thā tire andāz-e-nazar se
ab be-hunarī bā'is-e-tauqīr huī hai
begāna hue jaate haiñ ab log hunar se
ye rasm virāsat meñ milī hai mujhe 'sarshār'
maiñ jhuk ke nahīñ miltā huuñ arbāb-e-nazar se
wahshat si barasne lagi diwar se dar se
sahra ki haden aise mili hain mere ghar se
pathrane lagin rasta takti hui aankhen
un ke liye jo lauT ke aae na safar se
har rah mein bikhre the teri yaad ke sae
main dhup mein kya chhanw talab karta shajar se
aankhon mein judai ki sisakti hui ghaDiyan
main bhanp gaya tha tere andaz-e-nazar se
ab be-hunari ba'is-e-tauqir hui hai
begana hue jate hain ab log hunar se
ye rasm wirasat mein mili hai mujhe 'sarshaar'
main jhuk ke nahin milta hun arbab-e-nazar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.