wahshat thi wo ki apna gareban nahin raha
vahshat thī vo ki apnā garebāñ nahīñ rahā
aisī chalī havā ki charāġhāñ nahīñ rahā
tujh ko bhulā duuñ aisā kuchh imkān to nahīñ
par dil meñ terī yaad kā armāñ nahīñ rahā
har baar gardishoñ kī nazar mujh pe hī paḌī
hairāñ huā huuñ yuuñ ki maiñ hairāñ nahīñ rahā
ik chārāgar kī chāragarī kā kamāl hai
kāñTā koī qarīn-e-rag-e-jāñ nahīñ rahā
gar kuchh karam kiye to sitam us se bhī sivā
duniyā kā mujh pe ab koī ehsāñ nahīñ rahā
go chhin ga.ī qabā mirī dastār bhī ga.ī
rab kā karam rahā ki maiñ uryāñ nahīñ rahā
wahshat thi wo ki apna gareban nahin raha
aisi chali hawa ki charaghan nahin raha
tujh ko bhula dun aisa kuchh imkan to nahin
par dil mein teri yaad ka arman nahin raha
har bar gardishon ki nazar mujh pe hi paDi
hairan hua hun yun ki main hairan nahin raha
ek chaaragar ki chaaragari ka kamal hai
kanTa koi qarin-e-rag-e-jaan nahin raha
gar kuchh karam kiye to sitam us se bhi siwa
duniya ka mujh pe ab koi ehsan nahin raha
go chhin gai qaba meri dastar bhi gai
rab ka karam raha ki main uryan nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.