wahshaton ka sar-o-saman hamein hona hai
vahshatoñ kā sar-o-sāmān hameñ honā hai
mustaqbil dasht-o-bayābān hameñ honā hai
ham to dillī bhī nahīñ haiñ ki ka.ī baar luTeñ
ek hī baar meñ vīrān hameñ honā hai
ham ko ab nām-o-nasab se na pukāre koī
ik na.e daur kī pahchān hameñ honā hai
is liye ham se hī mansūb hai ye karb-o-balā
ai zamīñ terā nigahbān hameñ honā hai
chehra paḌhte hī koī dil kī kahānī paḌh le
zindagī itnā kab āsān hameñ honā hai
wahshaton ka sar-o-saman hamein hona hai
mustaqbil dasht-o-bayaban hamein hona hai
hum to dilli bhi nahin hain ki kai bar luTen
ek hi bar mein viran hamein hona hai
hum ko ab nam-o-nasab se na pukare koi
ek nae daur ki pahchan hamein hona hai
is liye hum se hi mansub hai ye karb-o-bala
ai zamin tera nigahban hamein hona hai
chehra paDhte hi koi dil ki kahani paDh le
zindagi itna kab aasan hamein hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.