wahshaton ke nagar mein rahte hain
vahshatoñ ke nagar meñ rahte haiñ
ya.anī zulm-o-zarar meñ rahte haiñ
baar sar par uThā.e nafrat kā
log shahr-e-ḳhatar meñ rahte haiñ
manziloñ kī talāsh meñ ham log
raat din bas safar meñ rahte haiñ
masnad-e-dil pe jin kā qabza ho
kab vo zer-o-zabar meñ rahte haiñ
vo jo rahte the dil kī duniyā meñ
ab dukhoñ ke khañDar meñ rahte haiñ
ham vo jiddat-pasand haiñ jo 'hirā'
kargasoñ ke nagar meñ rahte haiñ
wahshaton ke nagar mein rahte hain
yani zulm-o-zarar mein rahte hain
bar sar par uThae nafrat ka
log shahr-e-KHatar mein rahte hain
manzilon ki talash mein hum log
raat din bas safar mein rahte hain
masnad-e-dil pe jin ka qabza ho
kab wo zer-o-zabar mein rahte hain
wo jo rahte the dil ki duniya mein
ab dukhon ke khanDar mein rahte hain
hum wo jiddat-pasand hain jo 'hira'
kargason ke nagar mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.