wahshaton mein ishq ki wo shana farmaenge kya
vahshatoñ meñ ishq kī vo shāna farmā.eñge kyā
zindagī uljhī huī hai baal suljhā.eñge kyā
ḳhud hī tum socho jo duniyā meñ asīr-e-zāt haiñ
vo dukhoñ kī bhiiḌ meñ ārām pahuñchā.eñge kyā
daur-e-istibdād meñ ai dil fuġhāñ be-sūd hai
garmī-e-fariyād se patthar pighal jā.eñge kyā
sone chāñdnī kī ye nahreñ ye falak-paimā mahal
baad marne ke tire mahshar meñ kaam ā.eñge kyā
ham ne sadiyoñ kā chaman chhoḌā vafā kī aas par
ab tumhāre des meñ bhī Thokareñ khā.eñge kyā
tāqat-e-zabt-o-tahammul kab kī ruḳhsat ho chukī
nā-tavān-e-ishq ko vo aur taḌpā.eñge kyā
ai shuā-e-mehr-e-tābāñ jalva-rezī se tirī
sañg-reze raah ke almās ban jā.eñge kyā
jo musalsal asr-e-nau se barsar-e-paikār haiñ
vo bhī thak kar vaqt ke sāñche meñ Dhal jā.eñge kyā
wahshaton mein ishq ki wo shana farmaenge kya
zindagi uljhi hui hai baal suljhaenge kya
KHud hi tum socho jo duniya mein asir-e-zat hain
wo dukhon ki bhiD mein aaram pahunchaenge kya
daur-e-istibdad mein ai dil fughan be-sud hai
garmi-e-fariyaad se patthar pighal jaenge kya
sone chandni ki ye nahren ye falak-paima mahal
baad marne ke tere mahshar mein kaam aaenge kya
hum ne sadiyon ka chaman chhoDa wafa ki aas par
ab tumhaare des mein bhi Thokaren khaenge kya
taqat-e-zabt-o-tahammul kab ki ruKHsat ho chuki
na-tawan-e-ishq ko wo aur taDpaenge kya
ai shua-e-mehr-e-taban jalwa-rezi se teri
sang-reze rah ke almas ban jaenge kya
jo musalsal asr-e-nau se barsar-e-paikar hain
wo bhi thak kar waqt ke sanche mein Dhal jaenge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.