wahshi tera tarz-e-junun mein sab se raha begana bhi
vahshī terā tarz-e-jūn.un meñ sab se rahā begāna bhī
qais se go ulfat bhī rahī farhād se thā yārāna bhī
zulfeñ terī jān-e-do-ālam uf rī shamīm-e-rūh-afzā
dil to bhalā bīmār hī thā achchhā hai ik dīvāna bhī
terā muñh aur mai kī hurmat dekh na sun le rind koī
vaa.iz ye andāz-e-bayāñ hai saḳht bhī gustāḳhāna bhī
shahr meñ tere jān-e-jahāñ barbād ho kab tak ḳhāna-e-dil
kaash ho tere qadmoñ se ābād mirā vīrāna bhī
shauq-e-ziyārat kūche meñ us shoḳh ke mujh ko laayā hai
TuuTā phūTā dil hai merā pahlū meñ nazrāna bhī
mai-ḳhāne meñ dekho rind-o-shaiḳh na aane paa.e kabhī
pīr-e-muġhāñ se chashmak bhī hai aql se hai begāna bhī
maanā maiñ ne chashm-e-karam din raat adū par rahtī hai
brij raushan ruḳh se tere hogā merā kāshāna bhī
aariz tere sham.a safā haiñ rāhbar-e-kul-ahl-e-vafā haiñ
pahūñchā apne maqsad tak is raushnī meñ parvāna bhī
aarā sar par kyoñ na chale hairāñ na kyoñ ho dil apnā
zaanū par hai aa.ina un ke zulf-e-siyah meñ shāna bhī
chashm-e-sāqī rah rah kar āñkhoñ se mirī laḌtī hī rahī
jaam pe jaam aate hī rahe paimāne par paimāna bhī
zulf se uljhā vahshī thā qadmoñ pe miTā mansūr huā
āshiq terā jān-e-jahāñ hushiyār bhī hai dīvāna bhī
aa.ī shab-e-ġham maut jo merī dard-e-jigar kī shiddat meñ
qissa merā sun ke kahā pur-dard hai ye afsāna bhī
vāpas aaya jā ke shabāb ik huur jo apnā mehmāñ hai
rashk-e-jannat nām-e-ḳhudā hai aaj mirā kāshāna bhī
wahshi tera tarz-e-junun mein sab se raha begana bhi
qais se go ulfat bhi rahi farhad se tha yarana bhi
zulfen teri jaan-e-do-alam uf ri shamim-e-ruh-afza
dil to bhala bimar hi tha achchha hai ek diwana bhi
tera munh aur mai ki hurmat dekh na sun le rind koi
waiz ye andaz-e-bayan hai saKHt bhi gustaKHana bhi
shahr mein tere jaan-e-jahan barbaad ho kab tak KHana-e-dil
kash ho tere qadmon se aabaad mera virana bhi
shauq-e-ziyarat kuche mein us shoKH ke mujh ko laya hai
TuTa phuTa dil hai mera pahlu mein nazrana bhi
mai-KHane mein dekho rind-o-shaiKH na aane pae kabhi
pir-e-mughan se chashmak bhi hai aql se hai begana bhi
mana main ne chashm-e-karam din raat adu par rahti hai
brij raushan ruKH se tere hoga mera kashana bhi
aariz tere shama safa hain rahbar-e-kul-ahl-e-wafa hain
pahuncha apne maqsad tak is raushni mein parwana bhi
aara sar par kyon na chale hairan na kyon ho dil apna
zanu par hai aaina un ke zulf-e-siyah mein shana bhi
chashm-e-saqi rah rah kar aankhon se meri laDti hi rahi
jam pe jam aate hi rahe paimane par paimana bhi
zulf se uljha wahshi tha qadmon pe miTa mansur hua
aashiq tera jaan-e-jahan hushiyar bhi hai diwana bhi
aai shab-e-gham maut jo meri dard-e-jigar ki shiddat mein
qissa mera sun ke kaha pur-dard hai ye afsana bhi
wapas aaya ja ke shabab ek hur jo apna mehman hai
rashk-e-jannat nam-e-KHuda hai aaj mera kashana bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.