waise hamara duniya se lena na dena hai
vaise hamārā duniyā se lenā na denā hai
phir bhī jo māñgtī hai faqīrāna denā hai
ulTe savāl kartī rahe ham se ye hayāt
ham ne javāb to koī sīdhā na denā hai
aglī dukān-e-ishq kā khātā nahīñ khulā
pichhlī kā koī ham ko baqāyā na denā hai
ham apnā tāj-o-taḳht uThā.eñge soch kar
miTTī ko jo bhī denā hai shāhāna denā hai
kahiyo kabhī akele meñ vo nāma-bar mile
gaalī na denī hai use ta.ana na denā hai
ham soch kar ye ret kī taḳhtī pe likhte haiñ
ye imtihān ham ko dobāra na denā hai
tā-hashr is makān kā har ahl-e-qabr ko
tum kyā samajh rahe ho kirāya na denā hai
baiThe raho machān par āhū-e-shauq ko
bas dekhnā hai duur se bidkā na denā hai
waise hamara duniya se lena na dena hai
phir bhi jo mangti hai faqirana dena hai
ulTe sawal karti rahe hum se ye hayat
hum ne jawab to koi sidha na dena hai
agli dukan-e-ishq ka khata nahin khula
pichhli ka koi hum ko baqaya na dena hai
hum apna taj-o-taKHt uThaenge soch kar
miTTi ko jo bhi dena hai shahana dena hai
kahiyo kabhi akele mein wo nama-bar mile
gali na deni hai use tana na dena hai
hum soch kar ye ret ki taKHti pe likhte hain
ye imtihan hum ko dobara na dena hai
ta-hashr is makan ka har ahl-e-qabr ko
tum kya samajh rahe ho kiraya na dena hai
baiThe raho machan par aahu-e-shauq ko
bas dekhna hai dur se bidka na dena hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.